Blog post ko seo friendly kaise banaye? Top 10 killer tips
Agar aap new blogger ho aur apko bhi apke blog ko seo
friendly banana hai to apko kuch tips follow karne hi padte jiske bina aap apke
blog ko seo friendly nahi bana sakte ho to chaliye suru karte hai ki apke blog
ko seo friendly banana ke liye kya kya settings karni padti hai aur kya tips
hai . yah janane ke pahile apko kuch baate janna jaruri hai jo ki apkko seo
friendly concept ko samajhne me madat kar sakti hai . apke blog ko seo friendly
nahi karne ke karan hi apka blog google pe rank nahi kar pata hai aur uska
traffic nahi badhta hai to apke blog ka traffic badhane ke liye apko seo
friendly blog banana bahut jaruri hai.
SEO (Search Engine
Optimization) kya Hai? In full detail
Search engine optimization
kya hai? yah janana har ek naye ya purine blogger ko janana jaruri hai.
1. blog post ke liye
Keyword Research kare
Sabse pahile apne
blog ke liye topic chune aur usske liye ek behtarin ashcha Keyword ka
chayan kare uske liye apko best keyword researcher par pe jaake ascha keyword
select karna hai. Jiss pe competition kam ho lekin uska search jyada ho. Apko
sirf ek search keyword dhundna hai. Joki apke post ke hisab se ho. Kam se kam
aap post likhne ke pahile 15-20 minute time leke aaramse sooch ke keyword ka
chayan kare.
Agar apko apke blog
pe jyada traffic chahiye to long tail keyword hi use kare. Aur wah jyada
search kiya gaya ho par competition kam ho.
2. post ke topic aur 10
points ka chayan
Ab apne jo topic
select kiya hai aur uske bareme puri jaankari jama kare kam se kam 10 points
likh sake itni jankari jama kare. Use ek list me banake uspe sooch vihar kar le
aur readers ko jaise pasand aaye uske hisab se apke blog likhna hai.
Apko readers ki
pasand dekhna hoga. Unhe jiss bhasha me jiss swarup me unhe pasand hai use
swarup se likhe. Koi agar apke bog pe jyada samay tik nahi pa raha hai to apko
apke lekhan kalaa ko vikasit karna hoga lekin isme chinta karne ki koi baat
nahi hai kyunki aap prayas karke aur post likhke yah kalaa vikasit kar sakte ho
Sirf ek dhyan rakhna
hai ki aap job hi topic chune aur uske job hi points chune wah sahi aur satik
information honi chahiye.
3. sahi topic ke anusar
Title chune
Ab apne topic aur
keyword chun liya hai. To apko uske related title likhna hai. Aur dhyan rahe jo
title aap chune wah usme keyword samavishth ho. Yani keyword ka upyog title me
hona chahiye. Aur wah user friendly bhi hona chahiye. Yaani wah seo friendly
hona chahiye aur wah attractive bhi hona chahiye. Wah apke blog ka traffic
badhane jaisa ho. To ab apko sirf ek hi
bad dhyan me rakhni hogi ki job hi title chune wah seo friendly with keyword
aur topic ko darshaye aisa ho .
4. SEO friendly URL banaye
Ab yah ek sabse
ascha aur bahut confuse karne wala point hai kyunki yah pe kai naye blogger ko
dikkat aati rahti hai. Kai saare bogger URL ko parma-link ke dwara set nahi kar
paate hai. Jiski wajah se blog post ki URL SEO friendly nahi banti hai. Wah
title banana pe jo parma-ink banati hai usi ko use karte hai jo ki sahi nahi
hai.
SEO ki nazar me wahi
URL friendly ho joki sirf keyword se bani ho. Yaani aisi hi Url banaye jiss me
sirf keyword ho naki title.
Example: blog pe
traffic kaise badhaye? In full details yah raha ek titleaur iska keyword
hona chahiye blog ka traffic badhaye
To aapko seo
friendly url hai ambilwade.blogspot.com/2021/10/blog-ka-traffic-badhaye.html
Agar aap Blogger pe
post bana rahe ho to Domain ke bad date aayegi isme koi dikkat nahi hai, isse
koi bhi farak nahi padta hai. Isi tarikese url banaye.
5. kam se kam 1000 words
ka article/post
Agar apko llagta hai
ki apka bog rank list me aana chahiye to apko apke post/article me kam se kam
1000 words likhne hoge but isse kam nahi kyunki google usi post ko rank karta
hai jiss pe visitors jyada der tak ruk paye yaani wah lamba aur aschese
jaankari dene waala ho.
To iske liye apko
apke post ke bareme sahi aur aschi jaankari hona anivarya hai. Jisse aap har
concept ko aschese sooch sake aur loog wah pe jyada der tak ruk jaye.
Example ki toor pe
aap kisi anya blogger ki site dekh sakte ho. Sirf wahi site rank hoti hai jo ki
2000 words ke upper likhi ho yaani ki minimum 2000 words ki ho. To aap top 10
list pe rank kar sakte ho.
Isiliye writing
jyada se jyada samay dete huve thik dhyan se sahi samajhake jaankari deni
chahiye.aur jitna jyada ho sake utna lamba content likhe.
6. Blog post me Internal
aur External Linking kare
Ab apko iska do
fayda hota hai isse log apke site pe jyada der tak ruk sakte hai, aur dusra log
apke post pe bar bar aake apka traffic yani views badhate hai.
To chaliye samazhte
hai Internal aur External linking kaise dete hai.
Apne blog post me
apne hi blog ka koi current keyword aaya to usse apko internal linking ke
swarup me likhna hoga yaani usi keyword ke andar hyper text ke swarup me link
karna hoga yah bahut aasan hai.
Aur issi tarah se
koi External link bhi aap de sakte ho jisse istamal karke log apke blog pe
waapas aa sake jisse visitors post pea ate hai aur unhko post kerelated aur bhi
sawalonka jawab mil jaata hai .
Aur apka traffic
badh jaata hai. Isse apke blog ka Bounce Rate bhi ascha rahta hai. Waise to
kisi bhi blog ka ya website ka bounce rate 25%-30% se jyada nahi hona chahiye. Internal
Linking se blog ka Engagement badh jaata hai jisse stay time sahi rahta
hai.
7. Discriptive Image/
video ka use kare
Ab apne apke blog
post ke bareme aur uske topic bareme saari information diyi hogi phir question
aata haai ki wah sunder kaise dikhe aur iske liye sabse mahatwapurn cheez jo
apko karni hai wah topic anusar jo topic ke bareme jyada se jyada jaankari de
sakhe aise image/video ka istamal.
Dhyan rahe aap job
hi image use karne waale hai wah hamesha without copy ho yaani wah copyright
image nahi honi chahiye, iska matlab wah apki khudse banayi hui chahiye.
Yah ek bahut mahatwpurn point hai kyunki aap copyright image daalege aur phir
google adsence apko approval nahi dega to phir apki kamai bhi suru nahi ho
payegi. To dhyan rahe image/video copyright n ho.aur descriptive ho jo topic
bareme sabhi jaankari de.
8. blog ki basic settings
kare
Ab blog bana liya hai
bbut visitors samajhna bhi to chiye blog kiss bareme hai to isliye meta tag ka
istmal karke ek sundar aur short 160 words tak ka blog description likh dale
jisse padhkar visitors apke blog pe aaye
wiase hi apko kuch aur
bhi settings karni hogi jaise ki crawlers and indexing, redirect and error etc.
custom robot tag aur seo
settings iski jaankari
humne dedi hai.yah bhi ek mahatwapurn tip hai jo ki apko follow karni hi padti
hai.
9. Request to visitors
Agar apko yah post aschi
lage to comment jarur kijiye ,like kijiye ya phir subscribe jarur kijiye aise,
social media pe follow kare aur share kare in jaisi request visitors ko last me
jarur kijiye taaki koi impress hoke inhmese kuch bhi karega to apka traffic
badh ne me help ho sakti hai.
Post kar last me
visitors ko social media pe share karne ki request jarur kijiye taaki social
media se bhi apko traffic aana suru ho jaayega aur isse apki site search engine
pe jaldi rank kar payegi. Isse apko traffic aana suru ho jayega aur aap aschi
income ki aur apke kadam badha payege. Yaani apko aschi income aani suru ho
jayegi. Aur apka blog successful ho jayega. Sirf visitors ko request karke.
10. Related post option jarur rakhe
Yah ek mahatwapurn option hai jo ki har blogger ko kaam aata hai,
isse apke site 90% traffic badhne me help ho jaati hai. Iska arth hai ki aap ko
apke blog ke post ke related jitney bhi post aap likh chuke ho wah on karke
blog ke niche de dena. Jisse visitors apke bareme aur aur post ke bareme aur
padh sake.
Agar apke pass related post
option nahi hai aap related post template use kar sakte ho quiki
visitors kabhi bhi related post ka option hi dhundta hai agar usko apki
jaankari pasand aayi ya phir kuch points medoubt raha to aise me agar use niche
yah dikh jaaye to wah use jarur use kar
deta hai aur apke naye post ko bhi views mill jaate hai aur result ke swarup me
apka traffic badh jaata hai.
Aaj humne kya shikha?
Aaj humne ek mahatwpurn cheez shikhi hai jo ki har blogger ko
shikhna anivaarya hai ki seo friendly blog post kaise banaye? Isme humne
top ten killer tips shikhi hai jo apko koi nahi batayega yah tips apko humare
site pe hi milegi annya koi bhi site pe bhi nahi . isme apne aaj jo ten tips
shikhe he wah regular use kare aap jarur
ek ashca blog post use kar sakte ho aur ashcha blogger ban sakte ho. Badme phir
apko aschi income earn karne se koi bhi nahi rok sakta hai. Sirf ek baar apko
traffic badhana hoga. aaj humne job hi shikha
hai wah apko eke k cheezh dhyan se kare.
Final Word
to yah rahe kuch 10 killar tips for making seo friendly blog
post apko humari jaanakri kaise lagi hume comment karke jarur batana ya phir
kuch doubt raha to jarur comment section me batane. Agar yah post ashci lagi to
jarur ise share kare hume follow karee aur jitna ho shakhe share kare quki aap
humari madat karege to hume bhi kick milegi ki aap tak aschi information jaldi
bheje. to aasha karta hu apko ashchi income suru ho. To yah tips ek baar jarur
try karke dekh lena.
Comments
Post a Comment