Blog pe traffic kaise laye? for new blogger best 10 tarike

Welcome dosto welcome to my new blog post aaj hum aapke jaise har new blogger ke mann me aane wale sawal blog pe traffic kaise laye? iske bareme samajhne jaarahe hai aaj aap apke har sawal ka nivaran hoga yah aasha karta ho. To chaliye suru karte hai aaj ka topic jiska name hai blog pe traffic kaise laye?

Blog pe traffic lane se pahile mai apko yah batadu ki apka blog seo friendly hona chahiye aur wah google me searchable hona chahiye? Iske liye kuch settings karni padti hai wah me apko pahile hi batadi hai.

To chaliye suru karte hai blog ka traffic kaise badhaye?

Jarur padhe:कम समय में ज्यादा पैसा कमाने का तरीका

Blog Traffic Badhaye step by step



1.    social media se

kuch bhi problem ka solution chahiye to wah problem ko solve karne ke liye jyadase jyada log chahiye hote hai unh tak problem jaanana jaruri hai,waise hi blog ka traffic badhane ke liye bhi logonko janana jaruri hai, aur blog ka traffic badhane ke liye to jyada se jyada logontak blog ki links jaana jaruri hai is liye social media bahut prabhavi sadhan hai isse hi aap jyada se jyada logontak apke blog ko pahucha sakte ho.

Social media blog ka traffic badhane ke liye khad  ka kam karta hai aap jitna apka blog share karoge aap ko utna hi taffic milta jayega. Social media se traffic kaise kare iski jankari hum pahile hi de chuke hai.

 

2.Interview leke

Yah ek sabse ascha rasta hai isme apko apke blog ka traffic badhane ke liye apko sirf apke blog ke niche(topic) ke related blogger ko dhundna hoga jinke post par khafi organic traffic ho, unhse contact karke unhe interview ko manana hoga . phir unhka interview leke apke blog post pe post kar lena hai aur unhe bhi karne ko bolna hai. Ab wah bhi apke blog post ko uske blog pe link kar denga phir apko uski wajahse traffic badh jayega.

 

 

3.High quality content se

Apke blog ko log dekh to lenge but uspe log vapas bhi to aane chahiye iss liye apko uspe High quality content bhi honi chahiye aap jobhi likhnge wah quality bhara hona chahiye, upe kisi ki copy ki hui nahi chahiye. Jo bhi aap likhoge wah apke man se aur apke gyan se bhara hona chaiye n ki kisike copyse. Jab aap ek sundar post likhte ho to apne aap log use share karte hai aur apko traffic aana suru ho jaata hai.to ab to aap samajh hi chuke honge traffic lane ke liye high quality content kitna jaruri hai.

 

4. Hosting provider

Log free hosting kar lete hai par isse aap ko abhi to kuch nahi problem aati hai par jab apki traffic badh jaati hai to free hosting kam karna band kar deta hai aur ascha khasa paise lena suru kar leta hai wah apse charge lena suru kar leta hai.

Isliye aap online kuch hosint provider rahte hai unhse hosting kar sakte hei.

 

5. seo basic setting karke

Aap ko blog ki first post banate hai seo setting suru kar leb=ni chahiye isse blog jaldi rank kar leta hai. Seo setting me apke blog post ki keyword , titile, lable page url, structure etc. sabhi sahi hona chahiye.

Apne blog ki seo setting kaise kare iski jankari humne pahile hi dedei hai apko link pe sire click karke dekh lena hai.

Isse apke blog ki ranking badh jaati hai apka blog search me aane lag jaata hai to log automatic apke blog me aana suru karege aur apka traffic badhne lagega.

 

6. Loading speed

Apke blog ko load hone me kitna time lagta hai ispe apke blog ka traffic pura pura depend hota hai. Loading speed kam traffic jyada aur loading speed jyada traffic kam aisa unhka relation hota hai. Jab site aschase jaldi load hoti hai log apke site pe jyada aana pasand kate hai.

 

7. Active rahna

Agar apko bloggings niyamit paise kamana hai to apko niyamit rup se kam karna hoga yaani roj kamse kame k post ya phir hapte me do post niyamit rupse dalni hogi iski wajah se apke blog pe new organic traffic aati rahegi log apke blog ko search karte rahege. Aap jaise job pe active rahte ho to hi paise milte hai wiase hi idhar bhi aap jab active rahte ho har roj post dalte ho to active rahte ho.

 

8.Long articles/post likhe

Blog post ya article google ke top search me lane ke liye uspe log jyada der rukhe rahe yah bahut jaruri hota hai iss liye apko wah jyada lamba likhna chahiye kam se kam article me 1000 words ho par use jyada honge to aur bhoi ascha hai.

 

9.Back link ke jariye

Back link ek traffic badhane ka sabse ascha tarika jai yah apki Domain authority increase hoti hai, yah jyada traffic targeted karta hai agar domain authority  ki baat kare te to jitni jyada domain authority utne hi jyada fast apki post search engine result age mei fast rank karegi .

domain name kya hai iski jankari humne pahile hi dedi hai 

Iska fayda apko hi hoga apko organic traffic aana suru ho jayega .

 

10. Do follow link

Yah ek prabhavi sadhan hai isme aap apke site par kisi aur ki site ki link de sakte ho. Yah humari traffic badhane me madat karta hai yah link dusre site se apne site me aate hai ispe do follow link tag laga hota hai, iski wajah se humari site increase hone me madat hoti hai.

intenal linking bhi apke blog ki traffic badhane mei kaam aati hai, yah apke ek site ko apki hi dusri site se jodti hai isse log apke hi blog post par wapis wapis jayege. iski wajah se apke blog ke views badh jayege  aur apki traffic badh jayegi.

Extenal link bhi ek aisa hi paryay hai jisse aap apne blog ki traffic badha sakte ho, isme aap apke blog ko dusre blog ki link provide karte ho aur wah apke blog ki link provide karte hai, isse aap ko aur dusre blogger ko bhi fayda ho sakte hai dononko organic traffic aa sakti hai. aur aap promotion se blog ka traffic badha sakte ho apko sirf promotion fees deke apne blog ki link deni hogi wah pe apko automatic views aane suru ho jayege.


aaj humne kya shikha?

aaj apne ek aise cheez shikhi hai jo har new bloggger ko shikhna jaruri hai yah ek sabse mahtwapurn cheezh hai ki apne blog ke traffic kaise badhaye?, aaj apne blog ka traffic badhane ke 10 sabse main simple aur hatke tarike shikhe hai jo har blogger use karke hi blog popular banata hai iske bina apka blog kuch kaam ka nahi hota hai, agar apne inh sabhi tarikonka ekdam satik aur sahi upyug kiya to apke blog ka traffic badhane se koi nahi rok sakta hai, yah humara anubhav hai, humne bhi yah use kiya hai aur hum apko bhi use karneka suggestion dete hai.

apko yah jankari kaise lagi yah comment karke batao aur kuch nai advice ya doubt rahe to comment karke jarur batai quki doubt rahna aschi baat nahi hai.


Comments

satyam rai said…
This comment has been removed by a blog administrator.

Popular posts from this blog

blog par social media se traffic kaise badhaye?

Blog Post ko Google main Fast Index kaise kare?