Domain Name kya he? usse kaise de?

 bahutse New blogger aur website maker ko yah  prashn padta he Domain name kya hai?, Domain Name kyu jarury he?, Domain Name kaise de? aur domain name free he kya? agar apko bhi yah prashn pada he to aap sahi jagah pe aaye he.

To Aaj hum domain Name ke bareme batayge.

Domain Name Kya he?

kisibhi website ki baat kare to uska ek IP (Internet Protocol) address hota he aur yah ek numerical he jo hume batata he ki google (Internet) pe apki website ki range kaha he? website intenet pe kaha he yah Browser ko batana yah iska kaam he.

to yah yaad rakhne me asan nahi he, iski wajhah se Domain Name ki jarurat padi Domain name ki madat se hum kahi saare IP address ko dhoond sakte he. Domain Name ka upyog URL's me bhi hota he particular webpage ko dhoondne ke liye. to hum yah sooch sakte he ki Domain name dhyan rakhne me asan he. yah ek Human readable version he IP address ka.

Domain Name ka kaam

website ek server mai Host ya Store karke rakhta he aur Domain Name use server ke IP address ko point kiye rakhta he. Jab bhi aap akpi website ka naam apne URL me dalte heto tabhi wah apke Domain Name ke madatse server ke IP address ko point karta he.jisse aap apne website khoj paate ho. aur isi therah aap apni website ko Dekh pate ho.

Domain ke prakar

1.TLD(Top Level Domain)

iska dusra naam Internet Domain Extention bhi he.yah Domain name ka akhary wala hissa hota he badme Domain Name khatm ho jata he.yah dot ke baad aane wala hissa he.sabse pahle develop kiya gaya tha. yah SEO friendly bhi hata he. Iski madatse aap  apki website k asanise Rank Kar pate ho. ise Google Search Engine me bhi  Importance diya he.

Example of TLD

1.  .com (Commercial)

2.  .org (Organization)

3.  .net (Network)

4. .edu (Education)

5. .gov (Government)

2.CcTLD- Contry code Top Model Domain

yah domain particular contry me particular hota he iska matlab yah alag alag contry me alag alag hota he. yah kisi desh ke Two letter ISO Code  ke adhar pe namit hota he. yah har desh ke liya alag alag hota he isliya yah adhik istamal nahi hota he.

Example Of CcTLD

1. .in(India)

2. .us(United states)

3. .cn(China)

4.ru(russia)

5. .br(Brazil)

Ab Hume Subdomain ke bareme janana he.

SubDomain Kya he?

sub domain aur Domain me ek mahtwapurn farak hota he ki sub domain kharida nahi jata wah free hota he.aap apne TLD  domain Name ko free me subdomain Name me Divide kar sakte ho. yah chargeless hota he.

waise to website/ Blog banane ke liya aur Domain Name use nahi Hote he isliye hum unke bareme kuch likhne nahi wale he.

URL

Agar technology ke hisab se baat kare to Domain Name yah ek chota sa hissa he jise bade Internet Address ka URL kahte he. URL me bahutse chizonka pata lga sakte he. jaise ki language protocol, Machine Name, Folder Name.

Doamin Name provider

1. Godaddy

2.com

3.In

4.NameCheap

5.1and1

aise kuch domain provider he jahaa jake aap apki kudh ke blog ko Domain name provide kar sakte ho hamesha Domain name UNIQUE hi chune.

Domain Name kaise hona chahiye?

1. hamesh domain name saral aur asan yaad aane wala rakhe.

2.wah asanise bolajane wala, type karte aane wala rakhe

3.kisi dusre se milta julta Domain Name n ho. wah ek Unique ho jisse aap bahut jaldi Brand bana sakte ho.

4. apne name me Hyphen/ number jaise special character ko add n kare.

5. hamesha Domain Name top level wala le jise log jante ho. ise log pure duniya me log jante ho. 

6.apka Domain Name apke Business website/blog ya business profile se sambandhit ho.tabhi wah jaldi Brand ban sakhe.

Akhir ab me apko yahi kahna chahta hu ki Domain Name hamesha asan ,saral, chota, asanise yaad rakhne wala ho.

Domain Name kaise De?



Domain Name dena bahut asan he apko ja provider diye unhmese kishi bhi website me jake apka addess filled karna hoga unka charge bharna hoga yah sab karke aap apka Domain name apke Blog/Website ko dena hoga. 

Aaj Humne kya shikha?

mene aaj apko puri jankary mene saral asan shabd me bantane ki koshish ki he. mane apko Domain Name kya he?, Domain name ka prakar, Domain name ke fayde , wah kaise de? yah sab jaankari deni ki koshish ki he. aur kuch  doubt ho to yaphir kuch galat lage to Comment karke apke suzav muze batao.

Comments

Popular posts from this blog

blog par social media se traffic kaise badhaye?

Blog pe traffic kaise laye? for new blogger best 10 tarike

Blog Post ko Google main Fast Index kaise kare?